Showing posts with label DHOKA. Show all posts
Showing posts with label DHOKA. Show all posts

Tuesday, 11 February 2014

Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha



Us ne Mohabat ko b ek tijarat samjha.



Ek dhoka tha mein ny jisy chahat samjha.



Wo mery dil ko tor kar khush hota raha,



Main kaisa dewana tha jo dard ko b rahat samjha.



Us ne samjha hi nahi rishton k taqaddus ko kbhi,



Ye faqat khel tha main ne us ki aadat samjha.



Her bar us ne diya meri wafa ko fareb,



Main tha k apny pyar ko ek ibadat samjha...!!!



Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
 Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha

Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha

Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha

Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha

Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha

Ley douba jab ankhon ko tufan batol
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha? 
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-E-Gham Main

Ke Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha

WaRNa Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte Hain

Ke Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi

Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Bharosa Kaisay

Ke Zamane Se dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hai Darr

Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

ik pal mai jo ake guzar jata hai ye hawa ka wo jhonka hai or kuch nh

pyar kehti hai ye sari dunya jise ik rangeen dhoka hai or kuch nh... 

Thursday, 30 May 2013

Mujhse Giley Hain


Mujhse Giley Hain,

Mujh Pe Bharosa Nahi usey,
Yeh Soch Kar, Humne Bhi To Roka Nahi Usey.. !
Wo Shaksh, Kabhi Chand, Sitaron Se, Ye Pooche,
Hai Kaun Si, Wo Raat Jab, Socha Nahi Usey ...!!
Alfaz Teer Ban Ke, Utarte Rahe, Dil Me,
Sunte Rahe, Chup Chap Hi, Toka Nahi Usey ...!!!
Ae Dost Yeh, Mohabbat Nahi, Asool-E-Wafa Hi To Hai
Hum Jaan To, De Denge, Magar, Dhoka Nahi Usey

Thursday, 18 April 2013

Wo mily ga to .....




Wo mily ga to us sy poochin gay DOSTO
Kis kis ko abaad kiya hai mujhy barbaad kar k,,,,

Kabhi pathar se .....




Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,

Kabhi ik baat hi se insaan toot ke bikhar jatey hain..

Saturday, 13 April 2013

Kyon Tune Pyar ...


Kyon Tune Pyar Main Dhoka Diya

Kyon Na Sachha Pyar Tha Mujhse Kiya
Khamiyaan Kaun Si Mujhme Thi

Kyon Meri Wafaaon Ka Aisa Sila Hai Diya
Humne To Tujhe Toot Kar Chaha Tha

Duniya Ko Bhi Tere Liye Tha Chhod Diya
Dil Se Khoob Khel Kiya Tune

Kyon Na Mujh Par Tune Ki Daya
Aaj Main Khood Se Naaraz Hoon

Duniya Ki Naa Maan Kar, Kyon Sirf Tera Bharosa Kiya
Loot Kar Meri Duniya Ko

Tune Mujhe Jaise Bin Maut Hi Maar Diya

Anjaane Me ...



Anjaane Me Dil Gavaa Baithe

Is Pyaar Me Kaise Dhoka Kha Baithe
Unse Kya Gila Kare, Bhool Toh Humari Thi
Jo Bina Dil Waalon Se Dil Lagaa Baithe

Wednesday, 10 April 2013

Rh-e-wafa mein koi .....



Rh-e-wafa mein koi ___aakhri muqaam nahi

Shikast-e-dil ko muhabbat ki intiha na samjh

Meri kahani mera qissa.....



Meri kahani mera qissa hai tu

----------- ♥
Meri sansain meri duniya hai tu
----------- ♥
Tuje main kese bhula don kese Dil sy mita don
----------- ♥
Meri har ek Sanss ka hissa hai tu.....!!

Thursday, 4 April 2013

Umeedon ke saharey jee kar khud


Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,
Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,
Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,
Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,
Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,
Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..