Showing posts with label DARD. Show all posts
Showing posts with label DARD. Show all posts

Tuesday, 11 February 2014

Meri aankhon me dard-e-muflisi baqi hai abhi……


Khamosh zubaan par talkhi aahi jati hai,
Dard apnon ne dia ho tu yah batain aahi jati hai..


Meri aankhon me dard-e-muflisi baqi hai abhi……
 Meri aankhon me dard-e-muflisi baqi hai abhi……
Ranj-o-gham, mehr-o-wafa, dillagi baqi hai abhi..!



Tuesday, 30 July 2013

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi,
Meri Saans Bikharne Wali Hogi.
Phir Daman Zindagi Ka Chutega,
Dhaaga Saans Ka Bhi Tootega.
Phir Wapis Hum Na Aayenge,
Phir Hum Se Koi Na Roothega.
Phir Aankhoon Me Noor Na Hoga,
Phir Dil Ghum Se Choor Na Hoga.
Uss Pal Tum Humko Thaamoge,
Hum Se Dost Apna Maangoge.
Phir Hum Na Kuch Bhi Bolenge,
Aankhen Bhi Na Khoolenge.
Uss Pal Tum Roo Doge,
Hum Ko Tum Kho Doge.

Friday, 19 July 2013

Zindgi Itni Dukhi Nhi Ke Marny Ko Jee Chahy......


Zindgi Itni Dukhi Nhi Ke Marny Ko Jee Chahy...!!

Bs kuch apnu Ny Itny Dukh Diye Ke Jeeny Ka Dil Nhi Krta...!

Thursday, 11 July 2013

Mohabbat Farz Jaisi Hai

'Mohabbat Farz Jaisi Hai 

Nibhaana Seekh Jaoge 
Dilo Pe Qarz Jaisi Hai 
Chukaana Seekh Jaoge 
Labo Pe Phool Jaisi Hai 
Khilaana Seekh Jaoge 
Nazar Mein Aag Jaisi Hai 
Lagaana Seekh Jaoge 
Tum Tak Faasla Jo Hai 
Mitaana Seekh Jaoge 
Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe 
Zamaana Bhool Jaoge'


Saturday, 18 May 2013

Dard ka bazaar bhara .....



Dard ka bazaar bhara pada hai,

Wo cheez na lo jo andar se jali padi hai,

Wafa ki talaash chorr do nadan dosto,
Ye duniya Bewafai se bhari padi hai....

Sunday, 12 May 2013

ehsas-e-rakabat ...



ehsas-e-rakabat ho ya ta'assub ki nazar


uss k sath koi bhi ho mujhe acha nhe lgta...

Thursday, 9 May 2013

Kbi tum ne ...



Kbi tum ne  socha..

Tumhen kitna chahte hain
kbi tum ne ye b socha..
K tumhare dil'girfta
Tumhen kitna chahte hain..

Tumhen zindgi se barh kr,
jo azeez hum ne jana
so koi sabab to hoga..

kbi tum ne yeh b jana..
Sar'e'shaam muntazir the
kahin nelami ujale,
kahin titliyan labon ki,
kahin phol jese aaraz,
kahin qamqamon si ankhen..

Yeh jo chaara'gar humare
koi saa'at'e'rafaqat,
sar'e'shaam mangte the,
unhen kya khabar k hum ne
tumhen de di hain raaten,
tumhen roz'o'shab k dukh me
kbi bholna b chahen..
To kbi na bhol payen,
k yeh ehad'e'zindgi hai..
Jise torna b chahen
to kbi na tor payen...

Monday, 6 May 2013

Dukh Day Kar Sawaal ....



Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,

Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Friday, 26 April 2013

Saza hume ye ......



Saza hume ye kaisi mili dil

lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi
muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki…

Thursday, 25 April 2013

KAISE KAHON ~!



KAISE KAHON ~!


Zindagi Ko ...

Khushi Ko ...

Us Ke Sath He Tou Mahsoos Kiya Hai ...

Jo Pal Us Ke Sath Beetey Hain ..
.
Woh He Bas Jiye Hain ...

Kaise Bataon Usay Ke ...
~
Woh Kya Hai Mere Liye ...

Kin Lafzo Main Dhaloon ...

Apne Alfazon Ko ...

Kaise Kahon Usay Ke ...

MUJHE US SE MOHABBAT HAI

Qurbat ki teri .....




                                            Qurbat ki teri piyaas hay wesay tu theek hoon 

                                              ik dard dil k paass hai wesay tu theek hoon, 

Daikha jo chaand ko tu koi yaad aa gaya 
So dil mara udass hai wesay tu theek hoon, 

Tu mujh ko apni zaat se bahir nahi mila 
Ye dukh bhara qayas hay wesay to theek hoon, 

Gar ho kuch umeed to ho jaaun pur-sukoon 
Ek be wajah c aas hay wesay to theek hoon....

Wednesday, 24 April 2013

Ho Na Jaye Husn ...



Ho Na Jaye Husn ki shaan Mein Gustakhi Kahin,


Tum Chale Jao ke Tumhain Dekh ke Pyar Aata Hai..♥

Aab Intazar ...



Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai

Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Monday, 22 April 2013

Khamosh zubaan par ....



 Khamosh zubaan par talkhi aahi jati hai,


Dard apnon ne dia ho tu yah batain aahi jati hai..

Ye Chahaton k Silsile ....


Ye Chahaton k Silsile

Ajeeb thay Ajeeb hain
,
Kabi Wo Hum_Se Door hain
Kabi bohot Qareeb hain
,
Jo chaha wo na Paa sake
Jo Paa liya Usay na Chah sake
,
Gila karein to kya karen
Sab k apne apne Naseeb hain
,
Na koi apna hai Yahan
Jise Haal-e-Dil Suna sakain
,
Jo Dost hain
Wo Door hain
Jo Paas hain
Wo Raqeeb hain.
,
Gila karen to kya karen
Sab k apne apne Naseeb hain
,
Ye Chahaton k Silsile
Ajeeb se Ajeeb hain....!

har waqt mera ....



har waqt mera weham meri jan lta ha

aik bar phr sy kh do na k tum sirf mery ho ♥

Zara Pane Ki Chahat ...



Zara Pane Ki Chahat Main,

Bohat Kuch Chhoot Jata Hain,
.
Na Jane Sabr Ka Dhaga,
Kahan Par Toot Jata Hain,
.
Kise Hamrah Kehte Ho,
Yahan To Apna Saya Bhi
.
Kahin Par Saath Rehta Hain,
Kahin Par Chhoot Jata Hain,
Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi
Bahat Mazboot Lagta Hain,
.
Zara Si Bhool Se Lekin,
Bharosa Toot Jata Hain...!

Thursday, 18 April 2013

Haal anjaam-e-ishq ....



Haal anjaam-e-ishq kya kahiye,

Ab to hum bhi lage hain pachtaaney..

Haan haan nahi hai .....



Haan haan nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar mein,

Haan haan wo shaks mujhse bhulaya nahi geya..

Inhi khush gumaniyo ....



Inhi khush gumaniyo me kahi jan se bhi na jao,

Wo jo chara gar nahi hai usey zakham kiyo dikhao..