Saturday, 13 April 2013

tune ye phul jo ...








tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai

ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai

jit le jaye koi mujhko nasibon vala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai

jane kab aaye koi dil mein jhankane vala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai

imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai


No comments:

Post a Comment