Saturday, 13 April 2013

gulazar-e-hast-o-bu na ...




gulazar-e-hast-o-bu na beganavar dekh

hai dekhane ke cheez ise bar bar dekh

aaya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh

mana ke teri did ke qabil nahi hun main
tu mera shauq dekh mera intazar dekh

kholi hain zauq-e-did ne aankhen teri to phir
har rahaguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh


No comments:

Post a Comment