Thursday 18 April 2013

bandh lain hath pe ....


bandh lain hath pe seenay pe saja lain tum ko
ji to karta hay ke taweez bana lain tum ko

phir tumhain roz sanwarain tumhain baehta dekhain

kiun na angan main chambeli sa laga lain tum ko

kia ajab khwahishain uthti hain hamare dil main

kar ke munna sa hawaon main uchhalain tum ko

kabhi khwab ban kar ankhhon main raho

bana ke yaadain kabhi dil main bula lain tum ko

kis qadar toot ke tum pe hamain pyar aata hay

apni banhon main bharain mar hi dalain tum ko




2 comments: